Call us at 0700-922-6559 or Click here

techcamp

codrity logo

Codrity Summer Tech Camp 2025

Give Your Child a Fun & Skill-Based Summer. They’ll Never Forget!

Starting from 1st June, 2025 

Eligible Age Group: 8 to 14 years
Free Registration Open Now!

Valid till 30th May, 2025

🚀 What Will Your Child Learn?

What Students Say About Codrity

Main pehle drawing karti thi paper pe, lekin Codrity camp mein ma’am ne digital art sikhayi. Ab main computer pe drawing banati hoon aur apni mummy ko dikhati hoon. Mujhe friends ke saath team mein kaam karna bhi sikhaya gaya. Mujhe yeh camp bahut mazaa aya. Main agle saal fir se aaungi!

Jasheer

Mujhe Codrity ka summer camp bahut acha laga! Pehli baar maine computer pe khud coding karke ek chhoti si car banayi. Mujhe laga coding sirf bade log karte hain, lekin ma’am ne itna easy way mein sikhaya ki ab main khud chhoti games bhi bana leti hoon. Mujhe robots bhi bahut pasand aaye. Ab main har chhoti baat pe stage pe bolne se bhi nahi darti. Thank you Codrity Technologies!

Niman Reet

Main pehle coding ka matlab bhi nahi jaanti thi, lekin Codrity camp mein mujhe samajh aaya ki ye kitna fun hai! Maine ek game banayi aur sabko dikhayi. Ma’am aur sir ne sab cheez bahut pyar se sikhayi. Ab mujhe lagta hai main engineer ban sakti hoon!

Japsirat

Mujhe stage pe bolne mein darr lagta tha, lekin yahaan mujhe bolna sikhaya gaya. Ab main apni school assembly mein bhi confidently bolta hoon. Mera confidence bahut badh gaya hai. Codrity best hai!

Kavita

🎁 What Parents Love

What Parents Say About Codrity

Main bahut khush hoon ki maine apni beti ko Codrity Technologies ke summer camp mein bheja. Wo pehle shy thi, stage par bolti nahi thi. Ab wo mujhe daily aa kar btati hai ke mumma maine aaj stage par bola sab ke samne, coding ki aur usmein bhi maine sab kuch bhot ache se kia, maine robotics projects par kam kia aur ab wo English mein confidently baat karti hai! Sab kuch practical sikhaya gaya, aur unhone har bache pe focus kiya. Codrity ne sirf skills nahi, balki self-confidence bhi diya mere bache ko. Aur use dekh kar sab mujhse puchte bhi hai ke aapne apne bacho ko kha par yeh sab sikhaya. Toh jab mai btati hu toh unhone bhi apne bache ko Codrity mein bhejna start kiya hai. Highly recommended for all parents!

Mrs. Seema Rani

Pehle dono bachche YouTube aur reels mein lage rehte the, par Codrity ke summer camp ke baad unhone apne screen time ka use seekhne mein kiya. AI tools se khud projects banaye. Ab unhe sirf dekhna nahi, khud banana bhi aata hai. Bohot accha laga humein.

Harpreet Kaur

Meri beti toh bas mobile mein games khelti thi, but Codrity ke AI camp ke baad usne mujhe hi bataya ki computer ko kaise sikhaya jaata hai! Usne apne poses se machine train ki, aur ek chhoti game bhi banayi. Itna maza aaya usse ki roz excitement se bataati thi kya seekha. Bohot hi shandar initiative hai!

Harpreet Kaur

Mere bete ko stage se dar lagta tha, par Codrity ke camp mein use mic diya gaya, aur usne confidently sabke saamne bola. Ab uska self-confidence level next level pe hai. Ye camp sirf tech hi nahi, personality development bhi karta hai.

Kamla Vati